top of page
Writer's pictureSalman S.

Software for good Portraits (URDU)

So hua kuch yoon k aik dupahar main apnay office main baitha kam kar raha tha k mera aik colleague mere pas aya aur mujh say kaha k woh chahta hai k main uski aik tasweer khainchu. Yahan main batata chaloon k office main sabhi jantay hain k main achi photography kar laita hoon aur aksar mujh say in services ki request ki jati hai. So, main, as always ready to take out my #camera, photo k suntay hi mainy usko welcome karnay main dair nai lagai aur yeh suchnay laga k tasweer kaisay khanchi jay.


Dupahar ka waqt tha aur mere kamray main sheeshay ki deewar say roshni pardon say takrati hui room main dakhil ho rahi thi aur bohot khoonburat sa manzar paish kar rahi thi. Mainny apnay kamray ki lights off ki and us ko kursi par bitha diya. Kursi ko glass wall k thora kareeb kardiya aur apnay #iphone7plus say usi tasweer khainchi.

Tasweer khainchnay k baad main usko uski tasweer #whatsapp kardi. kuch dair k baad woh sahab mere pas dubara tashreef lay aur arz kiya k mainnay konsa #software istaimal kiya hai aisay tasweer k liyay. kuch dair to main khamosh raha k main isko is baat ka kia jawab doon, kuch sochnay k bad mainnay un say kaha k yeh koi software nai, agar apko is baat ka andaza hai k #light ka rukh kia hai aur us ko kaisay apnay faiday k liyay istaimal karna hai to apko kisi software ki zaroort nai. Yeh sun k woh sahab hansany lagy aur bolay agar nai batana to woh alag bat hai but mobile say aisi photo nai a sakti.


Is baat pay josh khatay huy mainnay un say poocha k aap k pass is waqt jaib main konsa phone hai. Woh bolay mere pass itna acha phone nai china ka hai. Mainany kaha koi baat nai main apkay #mobile say tasweer khainch k apko dikha daita hoon. Woh janab phr bhi hastay rahay jaisay main mazak kar raha hoon. Khair kissi terha mere israar pay woh phir say ussi jaga baithay, mainnay kamray k lights phir say off ki aur un k mobile say neechay wali tasweer khainchi.


Yeh tasweer daikh kar woh thoray hairan huy aur poochnay lagay aisay kaisay ho gia. Mera jawab ab bhi wohi tha k roshni ka sahi istaimal aap ki tasweer ko chaar chand laga sakta hai. Yeh sun kar un sahab nay mera shukriya ada kiya aur chalay gy.


To doston hakeekat yehi hai k koi mahanga equipment yan camera yan mobile apko acha photograpgher nai bana sakta. haan woh apko megapixel ki achi range day sakta hai, mahangi lights apko natural light ka mohtaj nai karay gi laikin in the end practice is everything. Agar apko roshni par aboor hasil nai to koi bhi mahanga equipment apko achi photo dainay main kaamyaab nai ho sakta. To aaj hi apna camera nikalain, chahay mobile hai yaan DSLR yaan mirror less and start practicing. Jitni ziadah tasweerain khainch saktay hain khainchain. 10 tasweeron main say 1 to achi aigi. Practice Practice and Practice, mujhay to issi software ka pata hai, Agar apko kisi achay software ka pata hai to neechay comment kar k zaroor batayay.

Please subscribe my blog for more interesting topics, discussions, photography #tips and #tricks. Apnay doston k saath share karna na bhoolain.



12 views0 comments

Comments


Get your FREE Photography Guide.

A guide to "Capturing Amazing Photos" with your Mobile.

bottom of page